|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
| |
|
|
|
maa varga parchhawa buta
Ma vrga pachhawa buta manu kidre nazar na aayaa, laike jisdi chhan udhari rab ne sawarg banaya. ma meri ma tum mujhe bahut yaad aati ho par kya kare tum vaha ho jaha se koi vapis nahi aata. mammy tum sach kahti thi ab tumhari sab bate yaad aati hai. jiwan mai sab vaise hi chalne lag jata hai par sab ki apni apni pehchan hoti hai unki jagah koi nahi bhar sakta koi bhi nahi. pahle tumhare sath ladta-jhagadta tha sach kahu to mujhe yaad bhi nahi jab hamne tumhari kadar ki ho par mammy mai tumse hamesha man ki gahrai se pyar karta tha par kabhi man ki bat na kah saka kyonki hamari faimly mai emotional bat karne wale ka sabhi mazak karte hai par mammy i really love u. mammy mujhe yad hai jab tumhe hospital lekar gaye the.doctor ne bola tha 10% ki ja sakti hai tumhari brain hemrege bahut jayada hui thi.mammy doctor bola ki agar ye bach bhi gai to mentaly upset ho jae gi enhe aapna koi hosh nahi rahega bas jiti jagti murda hogi tab mammy mujhe samajh nahi aa raha tha mammy kya ho gaya hai. sabhi ka kahna tha esi jindgi se to mot achi hai par mammy mera m,an nahi man raha tha par mammy ye tha bhi sach kyonki mammy jab tak mai ghar par hota to kisi bhi tarah tumhari dewa kar leta kyonki ma mai to tera hi ansh tha.tum to meri ma thi par kam par jane ke bad tumhare sath kaisa behave hoga usko lekar mai chinta mai tha. tab mammy mujhe apne man par pathar rakh kar bhagwan se parathna karni padi k hey bhagwan ab tumhara hi sahara hai ya tomery mammy ko thik kardo bas itna hi kardo ki wo apna khyal rekh sake or kisi par depend na ho ya unhe apne charno mae bulla le. mammy mai kaisa badnasib beta tha jis maa ne mery umar k liye duaye mangi mai us ma ki mout ke liye duaye mang raha tha. jis maa ne mere janam k liye kai jagah mante mangi aaj mai uske jiwan ka ant mang raha tha. mammy apko gaye hue ab 5 sal se upar gaye hue ho gaye hai par mammy mai har jagah tumhe yaad karta hu. sabhi kahte hai shadi k bad hamare pariwar ma tumhare ladki hogi kyonki ab mammy bade bhai k bhi 2 bete hai aur mai sochta hu mammy shayad tum vapis aa zao aur mai tumhe ek bete ke rup mai jo pyar nahi de paya wo ek baap k rup mai de pau ab mammy hamare pass sab hai bussiness,achha ghar har wochiz jiski tum kamna karti thi par mammy bas tum nahi ho. kash tum hoti.
|
|
| | |
|
|
|
|
|
|
|